MURDEY KO ZINDA KARDENA

Ek bar ek Hindu raja tha us ki koi aulaad nahi thi who har kaam panditon say puch kar karta tha bohat yagna kiye mandiron main matha teka magar kuch hasil na hua,usnay Hazrat Maulana Shah Fazle Rehma Ganjmuradabadi (rahmatullah alaih) kay bare main kafi sun rakha tha ek din wo Hazrat Maulana Shah Fazle Rehma Ganjmuradabadi(rahmatullah alaih) ki khidmat main aya aur unse badi reham dili se aulad kay liye darkhast ki, Hazrat Maulana Shah Fazle Rehma Ganjmuradabadi (rahmatullah alaih) ne usko dua di ki jaa tujhey ladka hoga aur ek batasha(sweet) diya aur kaha ki isay apni aurat ko khila dena aur takid ki panditon ke chakkar main na padey aur bachey ko ALLAH kay bharose chod de ALLAH kay karam say raja kay ghar ladka ho gaya magar raja ki biwi nay panditon ka chakkr nahi choda, wo har kaam panditon say puch kar karti, dhire dhire bache ki tabiyat kharab honay lagi aur ek time aya ki wo marne kay kareeb agaya raja nay har tarah say illaaj karaya magar koi fayda nahi hua, akhir thak har kar raja ko phir Hazrat Maulana Shah Fazle Rehma Ganjmuradbadi(rahmatullah alaih) ki khidmat main apne bachey ko lana pada, jab raja apne bachey kay sath Hazrat Ganjmuradabadi (rahmatullah alaih) ki khidmat main pahucha to bachha dum tod chuka tha, Hazrat Maulana Shah Fazle Rehma Ganjmuradabadi (rahmatullah alaih) nay farmaya ki ab kuch nahi ho sakta, jab mana kiya tha to panditon kay chakkar main kyun pada wo raja aur rani bahut roye aur mafi mangne lagey Hazrat Ganjmuradabadi (rahmatullah alaih) ko un par reham aya aur un hone us bache kay sar par "ALLAH Shafi ALLAH Kafi" padh kar ungli phair di aur wo bacha zinda hogaya(subanAALLAH) aur Hazrat Maulana Shah Fazle Rehma Ganjmuradabadi (rahmatullah alaih) ne raja say farmaya ki ye baccha jawan hokar raj karega aur 20 saal kay raaj kay bad marjaeyga, aur aisa hi hua.

 

ZINDA INSAAN KA JANAZA

Ek dafa Hazrat Maulana shah fazle rehma gunjmuradabadi alaihir rehma hujre me tashreef farma the..itne me basti ke log Masjid ke darwaze par ek janaza laye ki " fala ki jawan  beti mar gayi ,to namaz ke lie janaza laye hai"Hakeem abdul gaffar sahab ganj muradabadi yeh maloom karke ittila ko chale they ki maulana baba sahab ne jalal main hujray say bahar aakar farmaya " ki zinda ki namaz padhna ya kisi ko zinda dafan karna kaha rawa(sahi) hai?Abdul gaffar ! Tum jakar in bewakoofon ko bata do!" Abdul gaffar sahab masjid ke bahar aaye to dekha ke janaze me jumbish thi ...ghar walo se jab janaze ka muh kholne ko kaha to us ladhki ko zinda pate hai aur wo ladhki uth baithi aur kaha k," koi mera gala daabe tha ,saans ruki thi,...itne me yeh dekha ke Maulana baba aaye aur gala dabne wale jinn ko ek thappadh mara aur woh jinn chorhkar bhaag gaya... subhan ALLAH.

 

YA FAZLE REHMA KEHKAR NADI PAAR HOGAYE

Munshi wazeer ali khan rehmani raees lakhnawi (zila farrukhabad) ne bayan kiya ke ,"mai ba arz bait ganjmuradabad shareef hazir hua aur masjid pahucha to pata chala ke kuch der hui maulana baba billhaur ki taraf tashreef le ja rahe hai, Chunache mai bhi fauran unkay pichay ho gaya aur nana-mau ghaat ke kareeb aap say mila to mujhay dekh maulana baba ne farmaya ki,"tum kaha piche piche daudh aaye? ,..Kaha tak hamare sath jaoge?" Phir maulana baba ne mureed kia aur irshad kia ki ,"tum yaha thehro ! Jab kashti aaye to chale jana ,humko jaldi hai,intezar na kar sakenge!"Wazeer ali khan rehmani ne unki khushamdana arz kiya k," aap yaha tanay tanhaa !,..na mallah na kashti! Kaise apko chorh du? Bus billhaur abadi ganga pur tak pohonch kar rail se chala jaunga!"Maulana baba ne farmaya,"kaha ka mallah, kaisi kashti ! Hamara khewan har to hamare sath hai" phir molana baba ne Allah ! Kehkar ganga nadi me tashreef le chale to wazir ali khan rehmani ne dekha ki ganga ka pani is qadar paayab(bohot niche level) tak aa gaya ki maulana baba ke takhno ke barabar reh gaya !Ye dekkar wazir ali khan rehmani ke dil me khayal aya ke mai bhi sath chalu aur unhone molana baba se arz kiya k ," hazrat mai bhi aa raha hu ,,khayal rakhiyega!"

Maulana baba ne farmaya ki ," ya fazle rehma kehta pani me chala aa!"

Aur jab wazir ali khan rehmani ne ya fazle rehma ! Kehkar ganga me kadam rakha to ganga ka pani unke lie bhi is kadar  paayab ho gaya k jaise barish me kheto me pani aa jata hai.Thodhi dur chalne par Shaitan ne wazir ali khan rehmani ke dil me waswasa paida kiya k," Molana baba fazle rehma sahab khud to Ya Allah ! Kehte hue darya paar kar rahe hai aur tum ko ya fazle rehma ! Kehte hue aane ki taleem de rahe hai ! Kya tumhara bhi woh khuda nahi jo khuda fazle rehma ka hai??tum bhi ya Allah !kaho to khuda tum ko kya paar nahi karega?" Wazir ali khan rehmani ne is bat par gaur kiya aur ya Allah ! Kaha to fauran hi 10-11 foot pani me gota kha gaye or doobne lage to peero murshid ko madad ke liye jab pukara to Molana baba ne farmaya ki ,"khud chakkar me padhna chahta hai to chakkar hi khata rahega ! Jo kehta aa raha tha fir se wahi kehta chala aa !" Wazeer ali khan rehmani ne fauran Ya Fazle Rehma ! Kaha to fauran fir se darya ka pani takhno tak aa gaya ...jab 700-750 gaz pani me chal kar darya par karke khushki par aaye to wazir ali khan rehmani ne apni chadar saaye me bichayi aur arz kiya k ," huzoore aala ap tashreef rakhe, mai basti se hukka bhar lau" aur phir wazir ali khan rehmani ne hukka hazir khidmat kia to hukka pikar molana baba bohat khush hue aur fir jab wazir ali khan rehmani ne is waqye ka raaz pucha k ,"kya raz hai ki khadim Ya Allah! kahe to doobne lage aur ap Ya Allah !kehkar pani par is tarah chale ki takhne nazar aane lage!"Molana baba ne farmaya,"Bhai ! Allah ta'ala tak pohonchna kya dil lagi samajh rakha hai ? Abhi tum fazle rehma tak to pohche nahi ho to khuda to abhi bohot door hai , talib ko sheikh ki ,mureed ko peer ki isi waaste hajat hua karti hai k fana fee sheikh me mureed pohonchkar fir khuda tak pohche ! Agar ye nahi to khuda tak pohonchna bhi nahi ! Khud socho ki Ya Allah !Ya Allah ! Sab hi kaha karte hai magar is tarah keh lene se khuda tak pohoncha kaun hai ?" Fir ap molana baba ne farmaya ke ,"aao is baag se chale!" Jab baag ke bahar huwe to Hazrat makhdoom sheikh akhee  jamshed sahab rehmatullah alaih ke Mazar ke samne aa gaye ! Subhan Allah !

Is bat par wazeer ali khan rehmani ko fir se hairat hui to maulana baba ne farmaya," tum ko hairat kyu hai? shaitan mal'oon quwwat e naari se chashm-zan(palak jhapakte hi) kahi say kahi ata jata hai to yeh to nooraniyat e haq ka paikar is noor e haq ki taqat se taufeeq e ilaahi say jaha chahe palak jhapakte aane jane se tasarrufat se sarfaraz kyu na rahe! 

AABAY ZAM ZAM KA PANI

Hazrat Maulana Shah Fazle Rehma Ganjmuradabadi(rahmatullah alaih) ka ek mureed tha wo haj karney gaya hua tha, ek din wo aabay zam zam kay kuain(well) kay paas gaye aur apna lota dal kar paani bharnay lagey ki achanak unka lota unke hath say chut gaya aur aabay zam zam kay kuain main gir gaya, aap bahut mayus huey aur wahan seay wapas chale aye jab aap ki wapsi aapne watan hui haj karne kay baad to ek din aap apne pir sahib ki bargah main hazir huey.

 

Shayad Namaz ka waqt ho gaya tha aap ne wazu kay liye kuain(well) main balti dali aur jab balti upar ghasti to jo dikha us say aap hairan hogaye aap nay apna wahi lota dekha jo wahan aabay zam zam kay kuain main gir gaya tha, ye lota lekar mureed fauran Hazrat Maulana Shah Fazle Rehma Ganjmuradabadi(rahmatullah alaih) kay paas pahuchay aur sari baat bataye, Hazrat Maulana Shah Fazle Rehma Ganjmuradabadi(rahmatullah alaih) nay unki baat suni aur farmaya ki yeh kuan(well) ka pani aabay zam zam say juda hua hai. Main is baat ka gawah bhi hun maine khud is mubarak pani ko piya hai beshak is paani main aur aabay zam zam ke pani main koi farak nahi lagta. Aur Hazrat Maulana Shah Fazle Rehma Ganjmuradabadi(rahmatullah alaih) badi badi bimari ka illaaj is kuain kay pani say hi kardety thay aur aaj bhi zayarin is kuain say pani bhar bhar kay lejatay hai aur shifa patay hai.

 

Ek aur bohat mashoor wakya hai is kuain ka ek baar ek shaksh kuain kay pass hi khada hokar naha raha, uskay jism kay chitay kuain main jarahay thay. Hazrat Maulana Shah Fazle Rehma Ganjmuradabadi(rahmatullah alaih) nay is par us saksh ko mana kiya ki wo door hath kar nahaye par wo ladka nahi mana aur wahi nahaney laga. Hazrat Ganjmuradabadi(rahmatullah alaih) nay apni ankhain(eyes) band karli aur ek dum say kuain kay pani main ubaal agaya aur bohat josh kay sath pani kuain say nikal nay laga is par dusrey log dar gaye aur hazrat say mafi manganay lagay, Hazrat Ganjmuradabadi(rahmatullah alaih) nay kaha mainay to ALLAH say sirf ye arz kiya tha ki mere malik is kuain ko is shaksh ki napaki say paak karday bad main wo ladka bhi sharmshar hua aur maffi mangi.

 

DUBATAY JAHAAZ KO BACHA LENA

Ek baar bohat say Huj-jaje-karam(Haj Karnay Wale) Pani kay jahaaz say haj karnay jaa rahay the,achanak samandar main bohat bada tufan aya us jahaaz par bahut mureed Hazrat Maulana Shah Fazle Rehma Ganjmuradabadi (rahmatullah alaih) kay bhi thay jahaaz dubnay wala tha ki sab logo nay apne peer sahib ko yaad kiya bus mureedon ka unko yaad karna hi tha aur unka madad kay liye anaa tha. Saray mureedon nay dekha ki unkay peer-e-kamil nay jahaaz ko khanda dekar bhawar say nikal diya aur sab ko bacha liya is tarah sab mureed haj kar aye bakhairiyat se.

 

"Bacha Sako To Bacha Lo Ki Dubta Hun Main

Tumhi To Ho Jise Kehte Hai Nakhuda-E-Duniya".

 

ZUBAAN SAY FARMATEY HI HAAFIZ HO JANA

 

Haafiz Adbul Rahim Khan Sahab Rehmani bade mukhlis asthana wa pa bandh shara thay, 3-4 din thair kar wo khidmat murshid karte phir wapas apne ghar ajate thay. Ek din un ko ye tamana hui ki agar cha 32 bars ki umar ho chuki agar peer-o-murshid dua kardein to main Quran hifz karlu mauka pakar arz kiya ki mujhko tammana-e-hifz Quran hai Hazrat Maulana Shah Fazle Rehma Ganjmuradabadi(rahmatullah alaih) sun kar khamosh rahein thodi der baad buland awaaz se is tarah pukar ki Haafiz Abdul Rahim Imamabadi Yahan aoo main fauran hazir hua to mujhey ruksat ki ijazat dedi aamanabad pahuch kar jab maine tilawat Quran ki to maine kya dekha ki mujhe pura Quran Sharif hifz ho gaya hai aur main ache se ache haafiz se bhi acha haafiz hogaya sirf Hazrat Maulana Shah Fazle Rehma Ganjmuradabadi(rahmatullah alaih) ke zaban se Haafiz nikalnay ki barkat se.

 

SAIKADHO HATHO ME EK MUREED KA HATH

Maulana sayyed mohammad Farooq sahab rehmani darbhangi ne Bayan kia ke ek shaks mureed hone  Hazrat Maulana shah fazle rehma ganjmuradabadi rehmatul lahi alaih kay paas aya or bayat honay ka izhar kiya, hazrat nay usay tauba karwaey ahad o ikrar karwaya aur har galat kaam say door rehnay ka wada liya, jaisa jhoot, gheebat haram khori, "Kalma wagaira padhake jab yeh kehlaya gaya ke "Hum mureed hote hai hazrat fazle rehma kay aur phir agay hazrat khwaja shah Mohammad Aafaq sahab ke " .....To in sahab ne apna hath kheech liya ye kehkar ki abhi to kaha jhoot nahi bolna aur abhi humsay jhoot bulwa rahay hai, hum to Aap ko jantey hai!!"yaha khwaja afaq sahab kaha hai jo ye keh rahay hai ki unkay hath main hath diya...Fazle rehma ke naam se humko mureed karna ho to kijiye warna hum mureed nahi honge"

Hazrat nay apni ankhay band karli muraqba kiya or farmaya ,"Lo hath pakdho!!".....In sahab ne hath pakadhte hi dekha ki Hazrat ka hath Saikdho buzurgo kay hatho me hai.....yeh dekhkar wo behosh ho gaye ...or baad hosh me ane kay mafi mangi aur mureed huye, log kahtay hai ki khata par bhi ata hoti hai aur ek zaat e Hazrat fazle rehma (reh) ki jo karkey dikhaty hai... sub han ALLAH.

MAULANA AHMED RAZA URF ALA HAZRAT (RAH) MULAKAT KAY LIYE AAYE

Ala Hazrat(rahmatullah alaih) ramzan-ul-mubarak kay mahiney main Hazrat Maulana Shah Fazle Rehma Ganjmuradabadi(rahmatullah alaih) say mulakat kay liye aye, aur ek jagah kayaam kar khidmat e aqdas main itela karwaye ki ek shaksh bareli say milne aya hai. Hazrat Maulana Shah Fazle Rehma Ganjmuradabadi(rahmatullah alaih) nay farmaya ki yahan fakir kay pass kya dhara hai inkay walid aalim inkay dada aalim, aur wo khud bhi aalim, phir kamal lutf farmaya ki unko bula lao. Ba waqt mulakat Ala Hazrat(rahmatullah alaih) nay Hazrat Maulana Shah Fazle Rehma Ganjmuradabadi (rahmatullah alaih) say Milaad Sharif Kay babat pucha is par Hazrat sahab (rehmatullah alaih) nay irshad farmaya ki pehlay tum batao khud bhi to alim ho, Hazrat Ahmed Raza Khan Sahab (rahmatullah alaih) nay jawab diya ki main Milaad Sharif ko Mujtahab janta hun is par Hazrat Maulana Shah Fazle Rehma Ganjmuradabadi (rahmatullah alaih) nay unse kaha ki main Sunnat manta hun Kyunki Sahaba-E-Karam(Radi Allahu anhu) jo jehad main tashrif lejate thay wo apne ahlo ayal se kya kaha karte thai yahi na ki Makkah mauzma main Nabi Kareem(Salla Allahu ta'ala 'alayhi wa Sallam) paida hey.

Allah jalle shanahu nay in par Quran-E-Pak utara, Unhone yeh mojazey(miracel) dikhlaye ALLAH tala nay inko ye fazail ata farmaye Majlis-E-Milad main bhi yahi sab bayan hota hai farq itna hai ki tum apni mehfil main Laddo batate ho aur Sahaba-E-Karam(Radi Allahu anhu) apne sar(head) batatey thay. Us kay bad Ala Hazrat(rahmatullah alaih) nay farmaya ki kuch nasihat karne ko Is par Hazrat Maulana Shah Fazle Rehma Ganjmuradabadi(rahmatullah alaih) nay farmaya ki Takfir(matlab kisi ko kafir kehna) main jaldi na kiya karo is par Ala Hazrat(rahmatullah alaih) nay dil main socha ki main to un logon ko kafir kehta hun jo Huzoor Nabi Kareem(Salla Allahu ta'ala 'alayhi wa Sallam) ki bargah main gustakih kartey hai, ye bat Hazrat Maulana Shah Fazl-e-Rehman Ganjmuradabadi(rahmatullah alaih) ko kashf se pata chal gaye is par aap ne Ala Hazrat(rahmatullah alaih) se kaha ki han han jo adna harf gustaki(matlab ek dum mamuli si) Huzoor(Salla Allahu ta'ala 'alayhi wa Sallam) ki bargah main kare bila shubha kafir hai. Uskay baad apni gerua rang ki turkey kula(topi) Mubarak unko pehnaye,. Ye tarika Sufiya main faiz ata karnay ka hai, aur irshad farmaya ki jao "Ahmed Raza Tumahra Naam Duniya Main Chamkeyga"

Ye topi aaj bhi Ala Hazrat(rehmatullah alaih) ki taburakaton main say ek hai jisay bohat adab say sambhal kar rakha hai. Ye topi fil waqt Azhari Miya sahab kay behnoye maulana shukat hassan khan sahab jo ki pakistan karachi main hai unkay pass hai.

Qurban jaye Hazrat Maulana Shah Fazle Rehman Ganjmuradabadi (rahmatullah alaih) ki sakhsiyat par, aap kitna dekhtay thay aur aap Aashiq-e-Mustafa(Salla Allahu ta'ala 'alayhi wa Sallam) ko kaise nawaztey thay.

Aur kaisa nawaza hai Ala Hazrat (rahmatullah alaih) ko ki aaj duniya bhar main log unkay diwane hai aur silsila Ala Hazrat(rahmatullah alaih) kaisa phal aur phool rahaa hai ye sab Hazrat Maulana Shah Fazle Rehma Ganjmuradabadi(rahmatullah alaih) ki daine hai. Ala Hazrat(rehmatullah alaih) is mulakat kay baad aur 2 baar Ganjmuradabad sharif tashrif laye aur apnay Hazrat Maulana Shah Fazle Rehman Ganjmuradabadi (rahmatullah alaih) say ilteja bhi pesh ki mureed hone ki is par hazrat nay farmaya ki beta tumhara hissa Mehrera Sharif main hai tum wahan jao.
Ye hai fakiri ALLAH pak farmata hai ki agar is haath say do to dusrey ko pata na chale. Hazrat Maulana Shah Fazle Rehman Ganjmuradabadi (rahmatullah alaih) ki zaat-e-ba barkat nay bhi is tarah Imam Ahmed Raza  (rahmatullah alaih) ki zaat ko nawaza ki jahan aaj unki shaurat ka danka sarey duniya main baj raha hai wahan Hazrat Maulana Shah Fazle Rehman Ganjmuradabadi (rahmatullah alaih) ko bohat kum log hi jantay hai yahi hai faiqiri yahi hai wilyat.....subhanALLAH.
Ala Hazrat(rehmatullah alaih) ne is wakiya ka zikr khud apni kitab Al- Malfuz Main kiya hai. Isi tarah Hayat-E-Ala Hazrat ek bohat hi mashoor kitab hai jisay Ala Hazrat(rehmatullah alaih) kay khalifa Maulana Zafar Uddin Bihaari (Rahmatullahi 'alayh) nay likha hai us main bhi ye sari baat nakal hai. Ala Hazrat(rehmatullah alaih) nay  Hazrat Maulana Shah Fazle Rehman Ganjmuradabadi (rahmatullah alaih) kay barey main Fatwah-E-Rizviya main bhi zikr kiya hai.


"Yahan Par Apne Paraye Ko Deka Nahi Jata

Bata Karti Hai Yahan Par Muft Daulat Fazle Rehma Ki"

 

Mere Peer Sahab Hazrat Bhole Miyan Shab(reh) Ne Is Baat Par ek Sher Likha Hai:

 

"Mana Ki Sab Kuch To Waliyon Ki Hateli Main Hai

Aur Fazle Rehma Ne Jinko Chamka Diya Wo Bareily Main Hai".

KABA SHARIF KA ZIYARAT KAY LIYE KHUD ANA

Hazrat Maulana Shah Fazle Rehma Ganjmuradabadi(rahmatullah alaih) kay bohat se mureeden aur akidat mand aksar hazrat(rahmatullah alaih) ko makkah sharif aur madina sharif main dekhtay thay, koi maqame ibrahim par inko pata to koi tawaf-e-kaba kartey huey, koi masjid e nabvi main namaz padhtey huey, jab ki hazrat zaheri taur main ganj muradabad sharif main maujud ho tey. Haj khatam honay kay baad jab mureeden wapas akar hazrat(rahmatullah alaih) ko ye baat batatey to wo us par bus muskura detey. Hazrat Syed Mohammad Maroof Madni Shah Sahib (rehmatullah alaih) aksar hazrat ko kaba sahrif main namaz ada kartay dekhty aur jab milane ki niyat say kareeb jatay to hazrat(rahmatullah alaih) gayab ho jatay bohat dino kay baad apko kisi nay batya ki hazrat(rahmatullah alaih) say milna hai to ganj muradabad shairf jao india main aik aur baat bhi suni hai ki aap madina sharif main quran paak ki tilawat karrahy thay to apkay kaan main awaz aye ki maroof madni tu jisko dhund raha hai wo india main hai waha jao, Hazrat Syed Mohammad Maroof Madni Shah Sahib (rehmatullah alaih) fauran india aya aur hazrat(rahmatullah alaih) say dast-e-bayat liya aur 12 saal hazrat ki sohbat main guzar kar maqam-e-wilyat par fayaz huey.

Hazrat Maulana Shah Fazle Rehma Ganj muradabadi(rahmatullah alaih) apni walida kay sath akele raha kartey thay ek roz hazrat kay kisi mureed ko ek shaksh nay kaha ki tumharey peer haj par nahi gaye, ye baat us mureed nay baba say arz ki, to is par hazrat nay jawab diya ki haan main nahi gaya itna kahny ka bad apnay bhi irada kiya ki aap bhi zaheri taur par haj kay liye jaye aur kaba sharif ki ziyarat kar aye, jab aap nay apni ammi se ijazat mangi to unki walda ne unse kaha ki main itne zaiyef (old) hogayi hun. Agar tum Haj pe chale jao gay to mera khyal kaun rakheyga. Baad main kabhi chalejana ye sunkar aap ne jana cancel kardiya, sirf apni walda ki raza kay Liye aur apnay hujray mubarak main gaye aur sajadey main sar rakh kar  Allah tallah sa kaha, baretala aaj tere fazle Rehma ka paas koi aakar poch gaya ki aap haj par nahi gaye, maula usko kya jawab dun, isi halat-e-sajday main aap rotay rahey, kafi der hogaye, gaib say awaaz aey Fazle Rehma sar uthao, jahan kay liye tum hum sa ilteja kar rahy ho, dekho kudh khanay-e-kaba chal kar tumhary dar par aya hai, baba sahab qibla nay jab sar uthya to dekha ki kaba sharif samanay maujood tha,Allah Rabulizzat Ko gawara na hua ki merey jo mere mehboob ka mehboob ho aur mera bhi mehboob ho uski ankhay ashq baar ho....(SubhanALLAH) is wakiye say aap log jaan sakte hai ki akhir Allah ne kaisa banaya hai Hazrat Maulana Shah Fazle Rehma Ganjmuradabadi (rahmatullah alaih) ki zaat-e-pak ko.

Isi trah hazrat rabia basri radi ALLAHU anha li ziyarat kay liye kaba gaya hai aur hazrat chiragh dhelvi rehmatulahey alaih kay liye bhi.

 

 

 

 

JO BHI IS MASJID MAIN KADAM RAKHEYGA WO JANNATI AUR USKA IMAN PAR KHATMA HOGA

Hazrat Maulana Shah Fazle Rehma Ganjmuradabadi(rahmatullah alaih) say kisi ne pucha ki huzoor-e-ala hamare yahan jannati darwaza kyu nahi hai jaise aur mazaron par hai, Hazrat Maulana Shah Fazle Rehma Ganjmuradabadi(rahmatullah alaih) nay irshad farmaya ki ye wo masjid hai jahan Mohammad Mustafa (Salla Allahu ta'ala 'alayhi wa Sallam) aksar tashrif laatey hai aur Mohammad Mustafa (Salla Allahu ta'ala 'alayhi wa Sallam) nay is masjid main namaz bhi padhi hai (SubhanALLAH). Isi Tarah Panjatan Pak ka gharana, Hazrat Ibrahim (Alaih Salam) aur unki biwiyan, Hazrat Isa (Alaih Salam), Khwaja Khizar (Alaih Salam) aur Hazrat Guas-E-Paak (Radi Allahu anhau), Hazrat Mujadid Alif Sani(rehmatullah alaih) deegar Nabi aur Auliya ALLAH aksar is masjid main atey rahey hai. Jannati Darwaze banakar is masjid ki afzaliyat mehdood ho jati. Is masjid ki to ye shaan hai ki Jo koi is masjid main kadam rakheyga aur do rakaht namaz nafil bhi agar ada karleyga to uska imaan par khatma hoga, aur jo imaan ki halat main mara wo jannat main zaroor jayega aur jo koi is masjid main shumali aur junubi konay main khada hokar jo dua mangega wo in sha ALLAH zaror kabool hogi.

Dada Miya Rehmatuallah Miyan Sahab jo Hazrat Maulana Shah Fazle Rehma Gunjmuradaabadi(rahmatullah alaih) kay Pote hai unse bhi yahi malum hua hai. Aap farmate hai Yahan Huzoor Gaus-e-Pak(Radi Allahu anhau), Hazrat Nizamuddin Aulia(rahmatullah alaih) aur digar aulia-e-karam aksar tashrif late the. Maulvi Sayed Mohammad Ali Mungeri(rahmatullah alaih) farmate hai ki unhone khud masjid Fazl-E-Rehmani main Mujaddid Alif Sani(rahmatullah alaih) aur Huzoor Gaus-E-Pak(Radi Allahu anhau) ko tashrif farma dekha hai.

Yahi wo cheez hai jis ko samajh kar dil ye kehne par majboor hojata hai ki

 

"Nabi Se Is Kadar Maksoos Ye The Qurb Nisbat Main,

Ke Karta Tha Khatir Fazl-e-Rehman, Fazl-E-Rehman Ki,

Khuda Ke Panjatan Ke Char Yaro Ke Hasin Jalwe,

Janab Fazl-e-Rehman Mai Hai Panah Dekhne Wale" (SubhanALLAH).

 

Note: Mere ye post padh kar kuch log ye sawal kar lengy ki ye kya baat hui agar koi wahabi ya deobandi bhi masjid main namaz ada karleyga to kya wo bhi jannat main chala jayga, aisa hi sawal ye log jannati darwazay kay liye bhi kartay hai jo ki ajmer main hai, to mere in nasamjho say guzarish hai ki pehlay ALLAH kay wali ki azmat ko samajho, karamat tabhi to kehlgaye, jab koi deobanadi aur wahabai namaz ada karegya aur us masjid main namaz ada karnay kay sadqay ALLAH usko tauba ki taufiq deya aur wo sunni banjyga, yahi to kamal hai awliya ka warna phir kya kamal hua agar ye baat sirf sunni kay liye hoty to wo to waisay hi jaanat main jayga.

HUZOOR PAAK(SAWS) KI KHAAS MEHFIL MAIN HAZRAT FAZLE REHMA(REH)

Maulvi Habib Ullah Sahab Rehmani (rehmatullah alaih) tanda kay rehnay walay thay jo yahan say madina sharif hijrat kar gaye thay un ho nay bataya ki meri umar ka 14,15 saal to aisay guzara jiska har mahinay ka zada hissa astanay pay guzra karta. Behad kashf wa karamaat ankhon say dekhay huay hun, ek baar mainay dekha ki Darbar-E-Risalat(sal lal laho tala alaihi wasalam) main Peer-O-Murshid Gaus-E-Zamaan Hazrat Fazle Rehma (rahmatullah alaih) kahin nazar nahi atay to bada malal hua. Isi baat par Huzoor Paak(sal lal laho tala alaihi wasalm) nay pucha ki kya baat hai kis soch main mubtela ho to mai nay arz kiya ki Peer-O-Murshid kya yahan nahi hai to Huzoor Paak(sal lal laho tala alaihi wasalam) nay irshad farmaya ki yeh to darbar-e-aam hai, yahan wo kahan phir Parda-E-Hijaab uthaya to Peer-O-Murshid Mehfil-E-Khaas main maujud thay, yeh dekh nay ka baad kafi roz mujh par wajdani kaifiyat tari rahi. 27 ramzan mubarak ko Hazrat Ahmad Miyan Sahab(rahmatullah alaih) nay Hazrat Fazle Rehma (rahmatullah alaih) ka Maqaam-E-Rafi-Us-Shaan dekha to bohat der tak madhosh paday rahey.

 

NISBAT-E-ISAVI(ISA ALAIH SALAAM) WA NISBAT-E-MUSVI(MOOSA ALAIH SALAAM)

Hazrat Fazle Rehma (rahmatullah alaih) nay irshad farmaya hai ki hum ek gaon main gaye ek masjid jo gair abaad thi hum wahan namaz ko gaye to logo nay kaha ki yeh masjid tedhi(cross) bani hai is liye namaz band hai magar hum nay wahi namaz padhi aur thodi der wahi baithay rahy logo say kaha ab to zara masjid ko dekhlo dekha to masjid bilkul sidhi thi, farmaya jisi Nisbat-E-Isavi hoty hai usi say ye karamat zahir hoti hai.

Hazrat Fazle Rehma (rahmatullah alaih) nay farmaya ki ek dafa hum safar par thay aur ek khadim bhi saath tha ki ek darya pada to bagair kashti hum khadim kay saath uspaar utar gaye aur daman bhi kisi ka gila na hua, phir irshaad farmaya jisko Nisbat-E-Mosavi hasil hai isi say ye karamat sadir hoti hai. Al Hamdulliah Nisbat Mustufai, Nisbat Musvi, Nisbat Isavi sab ka majmua ye mukadas hasti hai(subhanALLAH).

 

KUAIN MAIN DOOBA BACHA ZINDA WAPAS NIKALA

Ek dafa Hazrat Fazle Rehma (rehmatul lahi alaih)mardanah makaan me khana khane tashreef laye  ...Fakeer niyaz ahmad Faizabadi(rehmatul lahi alaih) apke bahar ane ke Intezar me khadhe the ki Afaq ahmad faizabadi apne 12 sal ke ladhke or uski walida ke sath aye or waha unhone apni ahliya ki bimari ka zikar kiya to Maulana baba kehte hai ki khanqah chalo wahi bat hogi.Sab unke piche chalne lage ki Modh par ek shahi kuwa bana hua tha, Molana baba jese hi waha pohche to kabootar,maina,faakhta ,Battakh wagera aa gaye or apni boliyaa bolne lage to Molana baba ne kaha ke fakeer ke pas kya dhara hai jo tumko de?....Fir unhone badloo halwai ko awaz lagakar in sbko galla dalwa kar tashreef le chale waha se.......Ek battakh(duck) gardan lambi karke khane jhapta to Iqbal ahmad samjhe ke Kaatne ara hai.Wo andhey kuwe pe chadh gaye or bacho ki aadat hoti hai jhankne ki to us bachey ne bhi jhanka or kuwe me gir gaya.Sab chillaye ye awaz sunkar molana baba bhi theher gaye to Afaaq ahmad ne paao pakdha or kaha ke ,"Hum to Baba tum hi se apna Ladhka lenge "

Maulana baba ne kuwe se mukhatib hokar farmaya,"Iqbal ahmad ko kyu nahi Bahar nikal deta"

To jo log rassi wagera dalne wale the wo dekhte hai ki Iqbal ahmad pani par is tarah se baitha upar aa raha hai jaise kisi cheez par baitha ho or Pani khud upar badhta aa raha hai, yahan tak ki kuain say bahar behnay laga or wo ladhka khud apne abba se bola ki tum jin molana baba se bat kar rahe ho yahi hmko pani me sahara diye huye thay.... sub han ALLAH sub han ALLAH.

SURAJ KA SHARMANA

Shah ilahi baksh sahab farukhabadi nay bayan kiya hai ki suraj nikal nay say pehlay sahan masjid main Hazrat Fazle Rehma (rahmatullah alaih) masail hadis shairf bayaan farma rahey thay tawil jalsa kafi waqt tak raha magar dhoop namudar na hoti thi, ki Hazrat Fazle Rehma (rahmatullah alaih) nay farmaya ki Hazrat Farooq Azam(radiALLAH anhu) kay jalal say suraj ko grahan lag jata tha aur aaj ab bhi un kay ghulam aisay hai ki suraj in say sharma jata hai. Is kay baad majlis jai say khatam hui Hazrat Fazle Rehma (rahmatullah alaih) uth kar chale to fauran dhoop nikal ayi. Isharaq kay waqt baad Hazrat Fazle Rehma (rahmatullah alaih) dars-e-hadis shairf day rahy thay jahan dars-e-hadis dijati thi wahan kai log baithay thay dhoop main tezi aye to ek shaksh nay dil  main socha is say acha hota ki koi aur jagah baith tatay Hazrat Fazle Rehma (rahmatullah alaih) par zahir hogya ap nay farmaya ki suraj ki kya majal ki jahan dars hadis ho wahan chamkay aur dars main mashgool ho gaye Ahmad Makki Sahab batatay hai ki jis goshey main dhoop thi wahi rahi aur baki jagah saya hi raha. Hazrat Fazle Rehma (rahmatullah alaih) kay uthtay hi itni tez dhoop aye ki bardast hi na ho saka.

Nawab Zul karim Sahab Dhaka say pata chala hai ki wo apnay walid kay sath faiz-e-khidmat huay to Hazrat Fazle Rehma (rahmatullah alaih) masnavi maulana rome padh rahy tay ki kuch dhoop namudar hui, aap nay suraj kay tharaf mukhatib hokar farmya ki hum masnavi sharif padh rahy hai aur tum ko iska bhi khayal nahi bus aisay malum hua ki suraj abhi nikala hi nahi aur padhtay waqt tak yahii sama raha.

 

JINNAT KO SALAM

Hazrat Fazle Rehma (rahmatullah alaih) nay farmaya ki ek shaksh rome say hamary pass aya aur jinnat kay sata nay ki shikyat ki hum nay kaha ki tum jinnat say hamra salam keh dena chunan chay rumi nay aisa hi kiya to wo jin chalagaya.Mirza Mohdammad Ali Baigh sahab nay bayan kiya hai ki ek bhopal ki rais zaadi ko ek jin bohat pareshan kiya hua tha aur kisi kay bhganay say na bhagta azij hokar unkay walid naay maulan baba ko lanay ko ek shakh ko bheja aur muj hay bhi sifarashan ravana kiya bohat kuch Hazrat Fazle Rehma (rahmatullah alaih) kay pass akar zor lagaya lekin hazrat nay tashrif lay jana gawara na kiya aur farmaya ki tum ladki kay kaan main ye jakar kehdena ki Fazle Rehma nay tumko salam kaha hai bus aisa kehty hi wo achi hogaye. Ek dafa hazrat safar par thay ek makam par pahuchay to kuain(well) dekh kar pani talab farmaya to gaon kay logo nay kaha ki hazrat ye kuain na janay kab say sukha hua hai aap na farmaya tum bismilah keh kay is main dol bharo logo nay jab dol bahar nikal to wo saaf aur shafaf pani say labraiz tha.

 

BEY AWLAAD NAY PAYE AWLAAD

Hazrat Haider Ali khan Rehmani jo Azeema bad me muqeem ho gaye the wo kehte the k ,"Jab mai aastana aane laga to ek peer bhai ne kaha ke Peer o murshid se Aadab arz kare kay kisi tarah meri aulad nahi hoti ,....Khas dua farmaye !Bawaqt Hazri jab ye paigam arz kiya to Baba Huzoor fauran Muraqib hue or mujhe tawajjo dekar farmaya ki humne tumko tawajjo dedi hai or ab tum apne bhai ke samne jakar phoonk maar dena...Allah tala ladka deyga!"Jab haider Ali shah rawana hue to ye maloom padhta tha ki koi bhaari cheez unke jism me hai aur azeemabad pohochkar unhone us bhai par jaise hi phoonk maari usi waqt bojh jism se chala gaya aur phir nawe mah khuda ne use Ladhka diya.

 

NABEENA KI BINAAYI

Khursheed Ali Rehmani Molana shah Fazle rehma Rehmatullah Alaih ki Khidmat me Hazir hue aur Arz kiya," aankh ke Doctor ne bhi Jawaab de diya hai or teen baras se meri aankho ki Roshni jaati rahi"Molana Baba ne farmaya,"Doctaro ke Kehnse se kya hota hai,khuda jo chahta hai wo hota hai!"Eisha ki namaaz bad apne khursheed Ali ko bulaya or Shehed me salaayi dubokar.  "La ilaha illallah Muhammadur rasulullah Bahaqq Eisa Ruhallah ".  Padhkar salaayi par dum farmaya  aur inki ankho me lagwa di aur ek patti ankho pe bandhkar so jaane ko kaha, Jab khursheed ali Subah uthe to dekha ke pehle se bohot zyada Qawi binaayi maujood thi aur badhi khushi me Hazir hokar unhone Molana shah fazle rehma ke Qadam choome aur molana baba bole ne farmaya k Shehed to Rasool Allah ki batayi hui dawa hai

 

 

 

WARIS E PAAK (REH) KA MULAQAT KAY LIYE ANA

Hazrat Waris Ali Shah(rahmatullah alaih) jin ki mazar-e-akdas barabanki (u.p) main hai bohat paye kay buzurg guzray hai wo Hazrat Maulana Shah Ganjmuradabadi (rahmatullah alaih) kay nanihali (mother side) taur say rishtedar bhi lagtay hai. Hazrat Waris Ali Shah(rahmatullah alaih) Hazrat Maulana Shah Fazle Rehma Ganjmuradabadi(rahmatullah alaih) ko chachajan kehtay aur aksar Ganjmuradabad sharif tashrif laya kartay. Hazrat Waris Ali Shah(rahmatullah alaih) nay kaha hai ki Hazrat Maulana Shah Fazle Rehma Ganjmuradabadi (rahmatullah alaih) wo buland martabey ki shaksiyat hai jo kabhi bina Huzoor Pak(sal-lal-laho-tala-alihi-wasalam) say puchay mureed hi nahi bantay aur jis murred ko chatey Huzoor Pak(sal-lal-laho-tala-alihi-wasalam) ki bargah main khada kar dety thay(SubhanALLAH) kya Zaat-E -Paak hai .

Hazrat Waris Ali Shah (rahmatullah alaih) zaheri namaz nahi padhtay thay jis wajah say unkay mureed unpar barabar akidat nahi rakhtay thay. Ek din jab Hazrat Waris Ali Shah(rahmatullah alaih) apnay mureedon kay sath Hazrat Maulana Shah Fazle Rehma Gajmuradabadi(rahmatullah alaih) kay pass mulakat kay liye aye to Hazrat Maulana Shah Fazle Rehma Ganjmuradabadi(rahmatullah alaih) nay unsay kaha ki aaj wo unkay sath namaz padhey is par Hazrat Waris Ali Shah(rahmatullah alaih) nay kaha bilkul. Namaz kay liye jaisay hi logo neay niyat bandhi sab log kya dekhtay hai ki woh saare log kaaba sharif kay saamne khadhe hai. Jaise hi salam phera gaya kaaba sharif nazaro se ja juka tha ye majra dekh kar sab log hairan hogaye. Hazrat Ganjmuradabadi(rahmatullahalaih) nay Hazrat Waris Ali Shah(rahmatullah alaih) kay mureedo say farmaya ki "Tumhara Peer koi mamuli Peer nahi hai, dekha apne peer ka martaba roz apni namaz kaabay main ada kartay hai, 

Ye sun kar mureedo ko apni galti ka ahsas hua, aur un logo ne Hazrat Waris Ali Shah(rahmatullah alaih) se maafi mangi. Is par Hazrat Waris Ali Shah(rahmatullah alaih) muskuraye aur Hazrat Ganjmuradabadi(rahmatullah alaih) say farmaya ki, aapne jo raaz maine barso se chupa rakha tha aaj apne khol diya .

Is par Hazrat Maulana Shah Fazle Rehma Ganjmuradabadi(rahmatullah alaih) ne farmaya ki apko aaj namaz padhne mein kaisa lutf aaya?

 

Hazrat Waris Ali Shah(rahmatullah alaih) ne us par farmaya ki Chachajaan

 

"Aise Namaziya Agar koi padhaye to hum roz padhab".

 

Note:

Bohat say ulema is upar wale wakiya ko galti say Hazrat Makhoom Simnani (rehmatullah alaih) kay sath jod kar batatay hai, jo ko bilkul galat hai kyu ki Hazrat Makhoom Simnani (rehmatullah alaih) 8 aur 9wi sadi kay buzurg hai jabki waris paak 12 aur 13wi sadi kay buuzrg hai dono main laghbhag 450 saal ka farkh hai to ye wakya kaisay mumkin hai. Ye wakiya Hazrat Maulana Shah Fazle Rehma Ganjmuradabadi (rahmatullah alaih) aur Hazrat Waris Paak(rehmatullah alaih) kay bich hua hai.

Dusri baar Hazrat Waris Ali Shah(rahmatullah alaih) magrib kay waqt aye thay Hazrat Maulana Shah Fazle Rehma Ganjmuradabadi (rahmatullah alaih) say milnay, zaheri salam dua kay baad dono hujaray main chalegaye kafi waqt khalwat rahi, wahan kay mamlat ka kisi ko ilm nahi ki andar kya hua. Agar Hazrat Waris Ali Shah (rahmatullah alaih) nay khud kisi say farmaya ho to mumkin hai warna Hazrat Ganjmuradabadi (rahmatullah alaih) nay kisi say izhar na farmaya.

Haji Waris sahab (rahmatullah alaih) marhoom kay sajjada Hazrat Sayed Shah Mohammed Ibrahim sahab (rahmatullah alaih) marhoom, Hazrat Ahmed Miyan sahab(rahmatullah alaih) jo Hazrat Ganjmuradabadi (rahmatullah alaih) kay sahab zadey hai  ko mamu kehtay thay wajah karabat zahir hai, inkay intekal kay baad Hazrat Kallan Miya sahab ko Hazrat Ahmed Miyan (rahmatullah alaih) sahab nay khud dewa sharif lay jaakar sajjada nasheen banaya.

 

60 ADMI AUR 2 CHAPAATI

Chaudhary Hashmat Ali Sahab Raees ul Kasham 60 Admiyon ke sath Baet ke liye aastana par hazir huye, Hazrat Fazle Rehma Ganj Muradabadi radiAllah anhu ne sabko Baet karne ke baad khadim imam ali se kaha ke ander jo ghar me khaney ko hai le aao, Imam ali ander gaye or 2 chapati or 2 kareley laye or kaha is ke siwa kuch nahi hai .. Moulana Baba ne is ko apne romaal se dhak kar farmaya Sab log Bismillah padh kar romaal kay nichey say nikal nikal kar khatey raho yahan tk ke sab ne pait bhar kar khana kha lia, khaney kay baad chaudhary sahab ne arz kia ke romaal utha loon to Hazrat Fazle Rehma Ganj Muradabadi radiAllah anhu ne farmaya han romaal utha lo, chaudhary sahab ne dekha ke 2 chapati or 2 kreley wese hi mojud prey they....SUBHANALLAH.

 

AJMER KYU JATAY HAI

Hazrat Owais E Dauran Sarkar fazle Rehma(rehmatulah alaih) ki bargah main bohat log faiz lene aya kartay chaye wo AWLIYA ALLAH ho ya ALIM E DEEN, ya aam log har kisi ko sarakar nawaztay is tarah ek wakya hai jo sahre kar raha hun aap sab say. Ek Nawab saahab Hazrat Qutub Ul Aqtab Sarkar fazle Rehma (rehmatulah alaih) ki bargah main hazir huye aur sawal kiya huzoor ajmer jaane ki zarurat kya hai jab fatiha yahin se pahunch jaati hai.Hazrat Owais E Dauran Sarkar fazle Rehma(rehmatulah alaih) ko khaadim pankha chala raha tha. ..Aapne Nawab saahab ko qareeb bulaaya aur jab qareeb aaye to pucha ye jo pankha chala raha hai ye hawa apko lag rahi hai? ?Nawab saahab bole ji lag rahi hai, Aapne pucha jab door baithe to lag rahi thi? Nawab saahab bole nahi lag rahi thi.

Phir kaha bas isiliye ajmer jaaya jaata hai, fatiha to pahunch jaayegi magar jo rehmat waha khwaja sahab ki mazar par ALLAH ki taraf say baras rahi hai wo aapkey ghar nahi barsegi....isliye jaisa ye pankhay ki hawa say tum itmanan pagaye jab ki ye tumharay liye nahi chal raha tha waisay he jo bhi wahan ya kisi bhi AWLIYA ALLAH ki bargah main hazir hota hai to jo ANWAR aur NOOR ki barish un par hoty hai us main saray hazaren bhi bhig jatay hai.

 

HAZRAT FAZLE REHMA(REH) KI BARGAH MAIN HAZRAT QALB ALI SHAH SARKAR MADARI (REH)

Gaus E Zama, Owais E Dauran Hazrat Maulana Fazle Rehma Mohammadi Ganj Muradabadi (Alaih Rehmato Rizwan) Ki Zaat E Aqdas Awliya Allah Main Ek Aisay Suraj Ki Tarah Rahi Jiski Chamak Say Us Daur Ki Har Khanqa Nay Roshni Li, Jahan Hazrat Ki Baragah Main Ahle Marefat Bheid Lagaye Rehtay, Wahi Ulema E Haq Aur Duniya Daaar Bhi Hazrat Ki Bargah Say Faiz Lenay Ko Hazir Rehtay. Zyada Tar- Khanqa Kay Buzrg Us Daur Main Hazrat Fazle Rehma Mohammadi Ganj Muradabadi (Alaih Rehmato Rizwan) Ki Bargah Main Hazir Hotay Aur Unsay Faiz Letay, Hazrat Ka Sab Say Bada Kamal To Ye Tha Ki Aap Logo Ko Wasal Karwany Kay Liye Mashoor Thay, Aap Jisko Chahtay Jab Chahtay Haath Pakad Kar Huzoor Paak Sal Lal Laho Tala Alaih Wasalam Ki Bargah Main Pesh Kardetay.

Hazrat Qalb E Ali Shah Madari (Rehmatullah Alaih) Jo Ki Hazrat Madar Paak(Radi ALLAH Anhu) Kay Bhanjo Ki Awlado Main Hai, Aur Apnay Waqt Kay Bakamaal Buzrgo Main Say Hai, 1290 Hijri Main Paida Huye Jab Aap Ki Mulakat Hazrat Sarkar Fazle Rehma (Rehmatullah Alaih) Say Hui Tab Hazrat Fazle Rehma (Rehmatullah Alaih) Ki Umar 104 Saal Ki Thy Aur Hazrat Qalb E Ali (Rehmatullah Alaih) Ki 22 Saal, Us Daur Main Puray Hindustan Main Hazrat Fazle Rehma Sarkar Ki Wilayat Ki Dhoom Machi Thy Aur Aap Mansab E Gausiyat Par Faiz Thay, Ab Jab Door Daraz Say Log Faiz Lene Atay To Makanpur Sharif To Bus 40km Ki Doori Par Tha,  Hazrat Qalb E Ali Shah Baba Bhi Hazrat Kay Maqam Aur Martabay Say Wakif Thay, Wo Bhi Hazrat Say Dua E Mehmoodiya Jo Ki Silsila E Madariya Ka Bohat Bada Ashgaal(wazifa) Hai Usko Hasil Karnay Ki Khawaish Lekar  Bargah E Aali Main Hazir Huye, Hazrat Qalb E Ali Sahab Ki Khawsih Jankar Aapnay Farmaya Ki Beta Ye To Tumharay Ghanarany Ki Cheez Hai, Hamay Bhi Ye Ashgaal Madar Paak(Radi Allah Anhu) Nay Hi Ata Kiya Hai, Tum Jao Hum Kehtay Hai Madar Paak (Radi Allah Anhu) Say Wo Tumko Ata Kardengy, Aur Phir Hazrat Qalb E Ali Shah Madari (Rehmatullah Alaih) Par Karam  Hua Aur Unko Wo Wazifa Madar Paak Nay Ata Kiya, Ye Sab Say Badi Kushusiyat Thi Hazrat Fazle Rehma Sarkar Ki, Aap Jo Jahan Ka Hota Usko Usi Bargah Say Faiz Dilatay Warna Khud Bhi Ata Kar Saktay Thay Par Nahi, Yahi Kamil Faqir Ki Nishani Hai.

 

 

DR. ALLAMA IQBAL PAR HAZRAT FAZLE REHMA KI KARAM NAWAZI

Vazir E Bhopal Munshi Imtiyaz Ali Fazl-E-Rehmani ki kothi lucknow main thi, wahan unki mulakat Dr. Mohammed Allama Iqbal Sahab say hui. Munshi Imtiyaz Ali sahab astane Fazl-E-Rehmani aarahey thay Hazrat Maulana Fazle Rehma Ganjmuradabadi(rehmatullah alaih) say mulakt kay liye Dr. Mohammed Allama Iqbal Sahab ne bhi shaukh zahir kiya astane aliya anay ka, bawaqt mulakat Dr. Mohammed Allama Iqbal Sahab nay Hazrat Maulana Fazle Rehma Ganjmuradabadi (rehmatullah alaih) say kaha ki Huzoor-E-Aali koi aisa wazifa bataye jis say mujhe Huzoor Purnoor Hazrat Mohammed Mustafa(sal-lal-laho-tala-alaihi-wasalm) ki ziyarat naseeb hojaye, Is par Hazrat Maulana Fazle Rehma Ganjmuradabadi(rehmatullah alaih) nay farmaya ki walihana mohabbat khud sabab didar hai, Tum apne main wo baat paida karo ki Aqa-E-Namdar Hazrat Mohammed Mustafa(sal-lal-laho-tala-alaihi-wasalm) ki khud nigahain karam tumhare taraf uthjaye yahi sab se bada wazifa hai.

Kamal ki baat ye thi ki Hazrat Fazle Rehma wasal karnay kay liye mashoor thay,wasal say murad aap jisko chahatay hath pakad kay Huzoor Paak (sal lal laho tala alaihi wasalam) ki bargah main pesh kardetay, isi wajah say har koi aapsay milany kay liye betab rehta, jab Allama Iqbal nay bhi aapsay ye khwaish zahir ki to aap ki nazre wilayat dekh rahay thy ki ye shaqsh Iqbal say Allama Iqbal banay ki salahiyat rakhta hai, is main ishq ki aag to maujood hai bus isko aur mazeed bhadkanay ki zaroorat hai, bus aapnay nigah e karam ki aur dua di, isi kay baad Allama Iqbal nay Huzoor Paak (sal lal laho tala alaihi wasalam) par sava crore baar darood sharif padha aur phir un par Huzoor Paak (sal lal laho tala alaihi wasalam) ka aisa karam hua ki Iqbal say Allama Iqbal bangaye, aaj shayad hi koi ho jo Allama Iqbal ki zaat say wakif na ho, Is wakeya kay baad bus yahi sher zaban say besakta nikalta hai.

Nigahey Wali Main Wo Tasir Dekhi, Badalti Hazaro Ki Taqdeer Dekhi.

 

MILAD SHARIF AUR ROSHNI

Chowdhary Mohammed Azeem sahab fazl-e-rehmani talukedar sandila nay bayan kiya ki 12 rabi-ul-awwal thi arz kiya ki Maulud Sharif ki Ijazat Marhamat ho, Maulana Fazle Rehma Ganjmuradabadi (rehmatullaha alaih) nay farmaya ki hamarey Hakimo namaz ka baha rka Niyaz Ahmed Faizabadi (rehmatullah laiah) Maulud Sharif padhenge basti main khabar kardo, mainay masjid kay 12 takon main 12 chiragh roshan kiye Sher Mohammed Farukhabadi eitaraz kar baithe ki itnay chiragh jalana israf hai, Itefaq se Maulana Fazle Rehma (rehmatullaha alaih) ko ilm hogaya apnay in mohtaraz say farmaya ki tumharay khayal main kisi ne israf kiya hai to jin chiragon ko tum zarrorat se zyada samjho jakar bhuja do. Sher Mohammed Farukhabadi gaye aur pehla chiragh bhuja kar dusray ko bhujane bhadey to pehla wala chiragh khud ba khud jal utha, wo isko bhujakar bhadey to dusra wala jal pada garaz ke jisko ye bhuja kar aagay wala bhujate phichla jal jata, chand bar yahi hua to thak har kar baith gaye aur ek chiragh bhi na bhuja paye. Hazrat Maulana Fazle Rehma (rehmatullaha alaih) nay farmaya ki ab bolo tumhara israf kahan gaya, Han agar tumnay ikhlas ka manzar na dekha ho to ab dekhlo.

Sher Mohammed Farukhabadi aisay nadim huey ki usi waqt mureed hogaye aur der tak rotey rahey, Idhar Maulana Fazle Rehma Ganjmuradabadi(rehmatullaha alaih) ko aisa josh aya ki mimber par khadey ho naat wa zikr wiladat (sal-lal-laho-tala-alahi-wasalm) farmakar rakat angez lehjey main salato salam padha. Imarti par fateha dekar ek khud nosh ki aur 2-2 hazerain main batwaye.

 

ZIKR-E-NABI (SAL LAL LAHO TALA ALAIHI WASALAM)

Ek baar maulud sharif ka zikr hua to Hazrat Maulana Fazle Rehma Ganjmuradabadi (rehmatullah alaih) nay farmaya ki tamam quran paak main ambiya (alaih salam) ka zikr hai bus yahi maulud sharif hai.Isi barey main aur irshad farmaya ki hum to roz maulud sharif padtay hai. Hazrat Zakaria, Hazrat Yahya, Hazrat Esa, Hazrat Moosa jumla ambiya (alaih salam) aur Hazrat Mohammad (sal lal laho tala alaihi wasalam) ka bawaqt tarjuma quran sharif wa hadis sharif ye maskoor hi to maulud sharif hai, maqsad ye hua ki bayan paidaish wa azmat wa mojazat yahi maulud sharif hai. Ek baar Maulvi Mohammed Ali Mungeri (rehmatullah alah) say mukhatib hokar farmaya ki maulud kya hai:

LA ILAHA ILLAALLAHU MOHAMMADUR RASULULLAHE (SAL LAL LAHO TALA ALAIHI WASALM) kehna yeh bhi maulud hai . Huzoor pak( sal lal laho tala alaihi wasalm) ki risalat ka zikr ho aur tarif ho yahi maulud hai salam ho ya kayam, ya zikar risalat adab wa mohabat say baaisay khusnudi rabul izzat hai. jo ahlay mohabat hai inko hi khuda -e-qudus nay iski taufiq bakshi hai.

Ek baar Ahmad Miyan Sahab(rehmatullah alaih) nay arz kiya ki baaz log milad ko shirk wa kufr kehtay hai to Hazrat Maulana Fazle Rehma Ganjmuradabadi (rehmatullah alaih) gusay say kapnay lagay phir farmayaAs salaamo alaiyka ya ayu han nabiyo.....lo hum to roz maulud main sharik hotay hai, samjha aap logo nay ya nahi yani namaz main at-tahiyat main kehna shirk nahi to namaz ka bahar kaisay shirk hai.

 

 

MEERAJ KA RAAZ

Ek baar ek shaqsh hazrat arif e haq huzoor khwaja e afaq sahab (rehmatullahalaih) jo hazrat fazle rehma ganj muradabadi (rehmatullah alaih)kay Peer hai unki bargah main hazir hua aur arz kiya ki bohat si kitabay padhi bohat say ulemao say suna par koi mujhay samjha na saka ki ye meraj ka wakya kaisay hua bistar garam raha, zanjeer hilti rahi, jism kay sath kaisay gaye aql kaam nahi karty ye kaisay mumkin hai aap samjha dijye. Is par aap nay farmaya hamarey khalifa hai hazrat fazle rehma ganjmuradabadi tum unkay pass chale jao wo samjga dengy. Is garz say wo shaqsh ganjmuradabad sharif kay liye rawana hua jan waha darwazey say andar tashrif le gaya to usay koi nazar nahi aya thodi der dhunda to usay ek charpaye par koi chadar odey leta hai dikhaye pada usnay hazrat fazle rehma ganjmuradabadi (rehmatullahalaih) ko dekha nahi tha to wahi khda hogya soch nay laga kaha hai hazrat itnay mai chadar say awaz aye hamara jism dabao ye sunkay usay laga shayad yahi wo buzurg hai aur jism dabana shuru kardiya pao pakad kay. abhi jism dabatey 2 minute hi huye thay ki dekha ki jism to hai hi nahi sirf chadar hai bada hairan hua ghabra gaya ki kaha chale gaye baba sahab jo ulti taraf nigah kari to masjid ki sehan mai dalan mai hazrat samne khadey ab unko dekh kar wo aur pareshan hogya ki abhi to mai inkay pair daba raha tha aur abhi ye samney hai mere. To baba huzoor farmatay hai bewakoof unhone apnay ghulamo ko to ye maqam diya hai ki pal bhar main jism ko kaha say kaha lejaye aur tu meraj sharif ka wakya mujhsay puchane aya hai. Tujhay itni choti si karamat ko samjhane ki aqal nahi aur tu meraj kay raaz ko samjhayga. Bus phir wo bohat nadim hua aur fauran mafi mangi aur mureed ho gaya.

HAZRAT ASHRAFI MIYA KICHOCHVI(REH)

Hazrat Ashrafi Miya Kichochvi (rehmatullah alaih) jo ki Kichocha Sharif kay bohat hi manay janay buzrg hai umar main 58 years chotay hai Hazrat Fazle Rehman Ganjmuradabadi(rehmatullah alaih) say ek din dono ki mulakat hui, Hazrat nay un say Masnavi Sharif sunanay ko kaha, jab aap nay Hazrat Ashrafi Miya Kichochvi (rehmatullah alaih) ki mooh say masnavi sharif suni to bohat kush huye aur dua di ki jis tarah Hazrat shams tabrez (rehmatullah alaih) ki sohbat main Maulana Rumi (rehmatullah alaih) aakar Khara sona ban gaye thay usi tarah Ashrafi Miya tumhari sohbat main jo bhi alim ya ulema ayega wo bhi khara sona ban jayga.

Dekha bhaiyo kya shaan hai Hazrat Fazle Rehman ganj muradabadi (rehmatullah alaih) kis kis nay apki sohbat ikhtiyar ki aur kaun kaun aap say faiz le gaya..aur kaun nahi hai jisnay unsay mulakat ki....kya bala shaan thi hazrat ki aur kya faqiri thi ki is hath say nawaztay aur dusray ko khabar bhi nahi lene detay....kaun kaun nahi is bargah say faiz yab hua hai aur hazrat say mulakat kay liye aya hai...chaye wo waris paak (rehmatullah alaih) ho, ala hazrat kay par dada AZRAT MAULANA SHAH RAZA ALI KHAN to hazrat kay mureed thay isi wajah say, ala hazrat(rehmatullah alaih) khud bayat kay liye yahan tashrif laye par hazrat nay kaha ki beta tumhara hissa maherara main hai wahan jao, aur aj ye hazrat sarkar fazle rehma (rehmatulah alaih) ki dua hai jo Imam Ahmed Raza(rehmatullah alaih) ki duniya main dhoom machi hai ye sab faizan e fazle rehma hai, is trah ashrafi miya (rehmatullah alaih) kichocha sharif nay hazrat say mulakat ki aur dua paye, HAZRAT MAULANA SHAH MUFTI WASI AHMED MUHADDIS SURATI, Abdul HAye Firangi Maheli, Hazrat Maroof Madni Jo Madina Sharif say aye, Hazrat Niyaz Shah Faizabadi, Hazrat Maulana Mohammed Ali Mungeri aur deegar jayed ulema karam mashaik azeam hazrat say mulakat ya faiz yab hona atay.

ye sara wakya Ashrafi Miya ka is site say liya gaya hai.

http://www.ashrafjahangir.com/index.php/personalities/hazrat-ala-hazrat-ashrafi-mian-ra

ye wakya english main diya hai:

Impression About Him:

Once Maulana Shah Fazlur Rahman,  (Rahmatullahi Allaih) who was a distinguished sufi of his time listned to masnawi sharif from Ala Hazrat Ashrafi Mian  (Rahmatullahi Allaih) and he was so deeply impressed that he began to say "As the company of Shams Tabrez  (Rahmatullahi Allaih) had made Maulana Room a bright gold by burning him in the fire of excessive passion for Allah, in the same way his colourful dress would colour the hearts of Olmas (Learned man).

 

CHORON KI BINAYE JATY RAHAY

Hazrat apnay ek mureed kay ghar mulakat kay liye gaye thay, wahi ek sahab bhi jo Hazrat makhdoom jahanian jahangasht(reh) ki awlado main say thay maujjod thay, hazrat ki wilayat aur maqam us waqt jag zahir tha har koi milnay ka aur duaon ka talab gaar hota, jab Hazrat Fazle Rehma (alaih rehmato rizwan) apnay mureed kay yahan pauchay to ye sahab nay bhi abhi apni baat rakhdi, asal main unki ahliya bohat darty thy to unhoany ye baat baba sahab say kahi, is par baba sahab nay apni chadi mubaraq unko di aur kaha ye rakho hifazat main rahogy, kuch din bad us ghar main chor aye chori karnay jab ghar main ghusay to unki ankh ki roshni chaligaye subah fazar tak rasta hi dhundtay rahay, jab fazar hui to wo khatoon uthy namaz kay liye,jab in logo ko dekha to pucha kaun ho, haal batanay par pata chala ki chor hai, aur ghar main atay hi ankh chali gaye hai, bohat mafi mangi ki agay say aisa kaam nahi karengy, tab unhonay unchoro ko ghar kay darwazay tak lejakay choda, jaisay wo log bahar niklay un logo ki binaye wapas agaye, ye sab us chadi mubaraq ki barkat say tha aaj tak ye chadi un logo kay pass rakhy hui hai.

 

MURID KI SACHI NISBAT KA ASAR

Nabi dada khan sahab Rehmani Farrukhabad ne bayan kiya ke,"Mujhe shikar ka bohot shauk tha khususan parindo ke gosht ke bagair pet na bharta tha, Ameer Ali khan Rehmani ke sath ye Aksar bandook lekar shikar par jakar parinda mar liya karte the, Ittifaq se ek din Nabi dada khan rehmani ,Ameer ali khan Rehmani ki bandook lekar "Hariyal" chidhiya pakadhne nikle to pedh par do Hariyal dekhe,......Unhone jaise hi Fire kiya to ek parinda wahi gir gaya jisko Zibah Kar liya aur dusra Udhkar ek pedh par phir baith raha tha ke dobara firing karne par dusra parinda bhi gir gaya aur use zibah kar diya gaya, Jab dono ko pakadhkar wo khane baithe to pehla luqma khate hi aesa maloom hua ke Aante ulti nikal padhi hai aur phir unhone woh gosht khana chodh dia aur phir ittefaq se waha se ek billi ka guzar hua to inhone billi ke aage do teen botiya dal di jisko khate hi billi zameen par Lotne lagi aur phir billi ne boti ugal di aur kuch der me theek hokar bhaag gayi

Yeh sara majra dekhkar Nabi dada khan Rehmani ne woh sara gosht ek kone me phenk dia aur so gaye ....Khwab me dekha ke ek buzurg aaye aur farmaya ke,"jab tumne ek hariyal maar liya tha to dusra hariyal waha se udhkar hamari panah mein aa gaya tha ,"tumne kyu mara?" Hum majboor hai ke tumhari nisbat e mureedi bohot Qawi hai warna yahi haal tumhara huwa hota "

Nabi dada khan Rehmani ghabrakar uth baithe aur shikar se hamesha ke lie tauba karli ,...Dusre Roz aastana hazir huwe to Maulana baba ne farmaya ,"Masnavi maulana room se dil behlaya karo ,is roz se Nabi dada khan sahab ne Shikar chorhkar masnavi ka shauk kar lia

 

Isi tarah Riyaz Ahmad Sahab Rehmani ,Faizabad District ke Judge the ,bayan kiya ke "mujhe shikaar ka behadd Shauk tha ,Ek dafa mai daure par maghrib ke waqt Tehel raha tha ke kuch Taaus(Mor) dikhayi diye,..Mai Jaldi se bandook lekar pohoncha aur Fire kar diya" Ek khushnuma Mor jab gira to jald pohonchkar Riyaz Ahmad Rehmani sahab ne isko uthaya aur teele par se jaise hi niche utra to unke hath se mor gayab ho gaya aur samne ek zakhmi shaks taang par patti bandhe leta tha, Ye dekhkar woh bohot darr gaye aur "Ya Fazle Rehman!" Padhne lage, Kuch der bad yeh sara manzar gayab ho gaya aur na hi koi zakhmi shaks tha aur na hi koi khauf baqi tha ,...Samne ek khema nazar aya to jald waha pohoche aur usi waqt sheher ki taraf subah aane ka wada karke chale aye aur jab raat ko wo soye to unko khwab aya ke wahi zakhmi shaks aaye aur farmaya,"Tumhari mureedi ki nisbat Fazle Rehmani ki Quwwat se Majboor hai warna tumhari bhi taang todh dete" Riyaz Ahmad Rehmani sahab usi waqt shikar se umr bhar ki tauba kar lete hai.

Subhan Allah! Allahu Akbar ..Mureed ki agar nisbat sacchi ho to Bhala kon si makhlooq nuqsan pohchane ki himakat kar sakti hai!"...Monana baba Fazle Rehma Rehmatullah alaih to wo hasti hai jinke Naam ka Lihaaz har Makhlooq karti hai.

FANAY-E-KAMIL

Karibul wafat 21wi Rabi-ull-awwal 1313 hijri  ko 2 baje din main Hazrat Maulana Shah Fazle Rehma Gunjmuradabadi (rahmatullah alaih) nay logo say farmaya ki mera intekal(death) hogaya hai hamari janaza ki namz padhao aur agar koi na padhe to main khud hi padhleta hun. Isi ko Fana aur Baqa Bhi kehtay hai ki apni namaz-e-janaza khud padhana. Bataye apni maut ka waqt kaun jaan sakta hai pehley say magar qurban jaye zaate Hazrat Maulana Shah Fazle Rehma Gunjmuradabadi (rahmatullah alaih) ki ALLAH nay har raaz pehlay say hi khol diye thay.

 

Tariq-E-Wafaat 

22 Rabi-ull-awwal 1313 hijri Juma kay roz 3 baje Hazerein(Mureed) ka majma laga hua tha kasir tadad main. Sajjada Ahmed Miyan Sahab(rahmatullah alaih) ko aakhein(eyes) khol kar dekha phir unka hath apne hath main liya aur bohat kaske 2-3 minute tak pakde rahein kuch deir baad aap nay phir Sajjada Ahmed Miyan Sahab(rahmatullah alaih) ko dekha aur haath chod diya aur ankhein bandh kar liye. Jis Tarah ALLAH kay habib Hazrat Mohammad Mustafa(Salla Allahu ta'ala 'alayhi wa Sallam) apni ummat kay liye pareshaan rehtay aur har dum ALLAH ki bargah main apni ummat ki bakshish ki dua mangatey rehtey. Hazrat Maulana Shah Fazle Rehma Gunjmuradabadi(rahmatullah alaih) ka bhi yahi haal tha wo apne mureedon aur apne azizon kay liye hamesha isi tarah pareshan rehtay thay. Abhi unkay wisal kay liye kuch ghante baki thay dophar kay 3:30 baj rahay thay. Hazrat Maulana Shah Fazle Rehma Gunjmuradabadi (rahmatullah alaih) nay apne dast(hands) mubarak uthakar nihayat khuzu se ALLAH ki bargah main dua farmaye ki ALLAH Paak Jalle Shanahu mere jumla mureedin, dost ahbaab, aziz wa akarib ko hamesha kush rakhey aur ALLAH sab ko khana khilata rahein, aur sab ka khatma bakhair ho(Aamin). Dhire dhire din dhalta gaya aur shyam hone lagi logo ki bhid badhti rahi, log zikr ilahi main mashgul thay har jagah mano lag raha tha ki ALLAH ki rehmat jhama jham bars rahi hai, aur akhir wo waqt agaya magrib ka waqt ja chukka tha, dekhtey hi dekhtey ALLAH ka khaas bandey ki rooh nay is jism khaki ko chod diya aur alam-e-bala ki taraf parwaz kiya (In-na-Lill-lahe- wa-inna-ilaihe-rajioon).

 

Assar Qubuliyat Wa Rehmat 

Hazrat Maulana Shah Fazle Rehma Gunjmuradabadi(rahmatullah alaih) kay parda is duniyae fani se hochuka tha Unkay jism akdas say aise khusbu arahi thi jise alfazon main bayan nahi kiya jaa sakta, jis kisi ka kapda apke jism akdas say chu jata usmay bhi khushbu anay lagti. Aap kay kaul par amal kartein hue har kisi ne apne dil par jabar kiya tha.

 Agar koi chilla kar rota to fouran behosh ho jata. Jo log khamosh the unkey ankhon se ansoon jari the, har koi gum me mubteila tha chahe wo hindu ho ya musalman har kisi par qayamat barpa thi anwar aur tajaliyaat ka kya zikr kiya jaye goya ek noorani chadar sab ko dhanke huay thi. Har taraf zikr-e-quran aur kalimaat ho rahey thay aisa lag hi nahi raha tha Hazrat Maulana Shah Fazle Rehma Gunjmuradabadi(rahmatullah alaih) ko dekh kar ki un ki maut hui hai balki aisa lag rahaa tha ki Hazrat Maulana Shah Fazle Rehma Gunjmuradabadi(rahmatullah alaih) har roz ki tarah aaram farmarahe hai. Aap Ka gusl sunnat kay mutabit karwayagaya. Janaza uthaya gaya khanda lagana duswar tha har jagah bhid ka jamghat tha, jisko bhi ye sharf mila such much nasib dar hai. Namaze janaza Peer Zada Hazrat Maulana Shah Ahmed Miyan(rahmatullah alaih) Nay padhaye thi. Janaza jaise hi gusl kay baad bahar nikla to jo log kandha diye huay thay sab hairaan ho gaye sab kay kandhe say janaza upar uth gaya tha sirf Peer Zada Hazrat Maulana Ahmed Miyan(rahmatullah alaih) ka khanda ek taraf se janaze ko laga tha aur baki taraf se kuch gaibi logon ne janaze ko kandhe pay lay liya tha. Aisa malum hota hta ki farishtey ya ALLAH ki koi khas makhluq unkay janaze ko kandha day rahi hai. Phir aap ki Mazare akdas tayyar ki gayi aur akhir main aap kay jism akdas ko dufn kar diya gaya.

Aap ka Urs-E-Paak 21 aur 22 rabi-ull-awwal ko chand ki tarikh kay hisab say har saal khub dhoom say manaaya jata hai.

Hazrat ki Mazar Sharif par pahunchney kay liye apko kanpur station jo(U.P) main hai wahan utarkar kar goverment bus stand(jhakarkati) bhi jisay keh tay hai, wahan jakar Ganjmuradabad Sharif kay liye bus pakadane hogi laghbhag 85 km hai doori 2:30 ghante kay kareeb lagtay hai Hazrat ki mazaar Sharif tak pahuchne main,

Makanpur Sharif Jahan Hazrat Badiuddine Zinda Shah Madar(radiallahu anhu) Ki mazaar-e-akdas hai wahan se 45 minutes kay kareeb lagta hai sirf 40 km door hai mazar sharif,

Aane wale Lucknow (Qaisar Bagh Bus Stand) say bhi aa sakte hai wahan say bhi goverment bus yahan Roz ati hai aur total doori hai 100km...aur agar aap car say ana chahtay hai to  lucknow agra high way say bohat hi asanai say sirf 1 ghantay main astana sharif pahuch saktay hai.

Hardoi se bhi bus apko Ganjmuradabad Sharif ke liye miljayegi wahan se 55 km hai aur ane wale Unnao station se bhi bus ya tempo karkey asaktey hai wahan se bhi mazar sharif sirf 55 km hai.

Safipur say jahan Makhdoom Shah Safipuri(reh) ki mazar shairf hai, wahan say mazar sharif sirf 27 km hai zayeren wahan say bhi tashrif la saktey hai.

Mery Maniye to main to kehta hun ki har kisi ko ek baar zaroor Hazrat Maulana Shah Fazle Rehma Gunjmuradbadi (rahmatullah alaih) ki mazar-e-akdas par hazri deany chahiye. Is Darbar ki azmat to sirf dekh kar hi jaani ja sakti hai. Main aap sab logo ko dawat deta hun ki aap log ek baar jis masjid main hamare pyare Nabi Huzoor Mohammad(Salla Allahu ta'ala 'alayhi wa Sallam) Panjatan Pak, Aur Digar Ambiya, Auliya E Karaam aye ho us jagah aap log nahi ana chahenge aur Hazrat Maulana Shah Fazle Rehma Gujmuradabadi(rahmatullah alaih) nay to khud hi farma diya hai ki is masjid main jo bhi kadam rakheyga uski akhirat bakhair hogi, to kaun hai aaj apni akhirat ko bakhair karna nahi chahtai.

Doston ye sari baatein padne kay baad to aap log jaan hi chukey hongey ki kaisi nirali zaat-e-pak hai Hazrat Maulana Shah Fazle Rehma Gunjmuradabadi (rahmatullah alaih) ki, Kis tarah aap logo pe nazre karam kiya karte aur din-e-islam ko Phailate(spread) rahein hai aur sunniyat ka jhanda gadte rahein, Hum sab ko chaheye ki aise bulandi rakhne wale buzurg se jitna zyada ho sake ishq karein aur apni akhirat sudhar lain. Is hakir fakir jo khandane Hazrat Maulana Shah Fazle Rehma Gunjmuradabadi(rahmatullah alaih) ka ek adna sa ghulam hai usy ye sharf hasil hua ki wo is azim-o-shan buzurgi wale buzurg kay bare main kuch likh sake waise mere itne aukaat to nahi hai ki main unke wakya aur tarifaat bayan kar saku par jitney bhi taufik mujhe mili sab Hazrat Maulana Shah Fazle Rehma Gunjmuradabadi (rahmatullah alaih) ka hi karam, Upar likhe huey bahot se wakyat aur tafsiraat maine apne pir-o-murhid jo mere bade nana bhi hai Hazrat Maulan Shah Afzalur Rehman urf Bhole Miyan Sahab(rahmatullah alaih) jo Hazrat Maulana Shah Fazle Rehman Gunjmuradabadi(rahmatullah alaih) ke par pote hai unki likhi hui kitaab "Rehmat Wa Neemat" aur "Afzale Rehmani say liya hai.

 

HAZRAT HAJI SAYYED MUHAMMAD QASIM HUSSAIN MUTAFAI FAZLE REHMANI(REH) KA BAYAAN

Hazrat Haji sayyed Muhammad Qasim Hussain Hashmi Mutafai Bareilvi Rehmatullah alaih Apni kitab"Bayat ki Haqeeqat" me farmate hai ke ," Aap(Hazrat Maulana Shah Fazle Rehman Ganj-muradabadi alaihir rehma) ke halat se tamam hindustan wa arab o ajam wakif hai,aap apne waqt ke kamil wa akmal wa saqail gar darvesh thay,jo jo karamat Apse roonuma huwe woh tamam roye zameen par Azharu minash shams(suraj ki roshni se bhi zyada Zaahir ) hai,Har padha likha janta hai ke Apke Wisaal se aaftab e karamat wa sulook guroob ho gaya.Taj darveshi ahle sulook se ahle jazb me muntaqil ho gaya

"Ahle batin par Roshan hai ke apke  dafan hone ke bad sabse pehle  aap(Hazrat maulana shah fazle rehman ganj-muradabadi) ki mazar par Huzoor pak Mustafa Sallallahu alaihi wasallam tashreef farma huwe ,Mandarja zayl chaar baatein apne(Hazrat Maulana shah fazle rehman ganjmuradabadi) zaban aqdas se Huzoor pak sallallahu alaihi wasallam ke hukm se farmayi,aur ye bhi farmaya ke," ye farman Huzoor Mustafa sallallahu alaihi wasallam,Maula Ali kaynat karam Allahu ta'ala wajhu ,Gaus pak radi Allahu anhu aur Khwaja Gareeb Nawaz radi allahu anhu ki mohar aur dastakhat se mazeen hai" Apko Kaleed e marifat ata hui,jo aaj tak maujood hai aur iski shan ye hai ke jo mureed e Silsila, ahle marifat na hota ho to uske seene se yeh kaleed shareef mas kar di jaye to barane faiz maarifat se malamaal ho jayga aur Qufl baab dil ka khul jayga.

(1)Irshad hua ke hamari Masjid(Masjid e Fazle Rehmani) mein mustafa sallallahu alaihi wasallam ,inke Sahaba wa Ahle bait wa akabir e auliya e kiram ne aksar namaz ada farmayi hai,jo isme dakhil hoga to uske khatme ke zimmedar hum hai aur Aatish e jahannum uspar haram hai

(2) Jo hamare silsile me Qayamat tak dakhil hoga aur mazbooti se daman e sheikh thamey rahega, iska khatma zaroor ba-khair  hoga.

(3)Hum se mohabbat rakhne walo ka khatma ba-khair hoga ,Hum iske zimmedar hai

(4) Jo shaks humse kamil mohabbat rakhega ,Iski koi deeni ya dunyawi Hajat baki na rahegi

Hawala kitab-"Bait ki Haqeeqat,Safa14-15)